khak men, kya suraten hongi kih pinhan ho gai’n
Yad thin ham ko bhi ranga rang bazm arai’yan
Lekin ab naqsh-o-nigar-e taq-e nisyan ho gai’n
Nind us ki hai, damagh us ka hai, raten us ki hain
Teri zulfen jis ke bazu par pareshan ho gai’n
Main chaman men kya
Bulbulen sun kar mere nale ghazal kh(v)an ho gai’n
Ranj se khugar hu’a insane to mit jata hai ranj
Mushkilen mujh par parin itni kih aasan ho gain
Yun hi gar rota raha ghalib to ai ahl-e jahan
Dekhna in bastion ko tum kih viran ho gai’n
(my favorite lines of a certain ghalib ghazal)